Wednesday 29 May 2013

sawal-jawab

Kehna to bahut kuch chahte hai....
magar zubaan ne saath na diya.....
kabhi waqt ki khamoshi mein khamosh rahe HUM.....
to kabhi UNKI khamoshi ne kuch kehne na diya.....

khamoshiya to yuhi khamosh karengi
koi yu hi tumhare alfazo ka intezar karegi
zindagi hamesha yuhi sath nh degi
kbhi to tumhe ye khamoshi todni padegi

Kaun Kehta Hai Khamoshiya Kamosh Hoti Hai,
Khamoshiyo Ko Khamoshi Se Suno,
Kabhi-Kabhi Khamoshiya Vo Keh Deti Hai,
Jinki Aapko Lafzo Mein Talash Hoti Hai…

In khamoshiyo ko samjhne ka koi jariya to do
in chuppey lafzo tk phauchne ka koi rasta to do
kb tk chupega ye bhawnao ka moti seep me
inhe bahar aane ka ek mauka to do

Khamosh Guzar Jate Hain Woh Kareeb Se
Sawal Uthte Hain Dil Mein Ajeeb Se
Woh Khafa Hain Ya Ye Unki Ada Hai
Shikayat Bhi Kya Karein Apne Naseeb Se…

Aise kaise niklenge vo tumhare naseeb se
jo likhe hai tumhare hatho ki lakeer me
khamoshiyo me battein byan krna mana tumhari ek klaa hai
magr kareeb se yu khamosh guzarna bhi unki ek adaa hai

No comments:

Post a Comment