Wednesday, 29 May 2013

sawal-jawab

Kehna to bahut kuch chahte hai....
magar zubaan ne saath na diya.....
kabhi waqt ki khamoshi mein khamosh rahe HUM.....
to kabhi UNKI khamoshi ne kuch kehne na diya.....

khamoshiya to yuhi khamosh karengi
koi yu hi tumhare alfazo ka intezar karegi
zindagi hamesha yuhi sath nh degi
kbhi to tumhe ye khamoshi todni padegi

Kaun Kehta Hai Khamoshiya Kamosh Hoti Hai,
Khamoshiyo Ko Khamoshi Se Suno,
Kabhi-Kabhi Khamoshiya Vo Keh Deti Hai,
Jinki Aapko Lafzo Mein Talash Hoti Hai…

In khamoshiyo ko samjhne ka koi jariya to do
in chuppey lafzo tk phauchne ka koi rasta to do
kb tk chupega ye bhawnao ka moti seep me
inhe bahar aane ka ek mauka to do

Khamosh Guzar Jate Hain Woh Kareeb Se
Sawal Uthte Hain Dil Mein Ajeeb Se
Woh Khafa Hain Ya Ye Unki Ada Hai
Shikayat Bhi Kya Karein Apne Naseeb Se…

Aise kaise niklenge vo tumhare naseeb se
jo likhe hai tumhare hatho ki lakeer me
khamoshiyo me battein byan krna mana tumhari ek klaa hai
magr kareeb se yu khamosh guzarna bhi unki ek adaa hai

aj phr yu hi......

aj phr dil kch keh rha hai
aj phr kch likhne ka man kr rha hai
aj phr barish ki boondo me bheegne ka man kr rha hai
aj phr beetein lamho ko jeene ka man kr rha hai
aj phr unhi dosto k sath kch nya karne ka man kr rha hai
aj phr college bunk krne ka man kr rha hai
aj phr bachpan me jane ka man kr rha hai
aj phr skul adhoora homework krke jane ka man kr rha hai
aj phr naye khilooney k liye zidd krne ka man kr rha hai
aj phr ped ki thandi chavv me baithne ka man kr rha hai
aj phr zindagi ko khoobsurat bnane ka man kr rha hai
aj phr zindagi ko dil se jeene ka man kr rha hai

hwaaaaaa..........

mamuli hwaa ka jhoka man ko chuuu gya
dil me ek naye khwaabb ki jagha bna gya
sadak pe padey bejaan pattey ko aasmaan ki sair kra gya
ac se thandi hwaa ka sukh de gya
logo ko band kamro se bahr nikalne pe majboor kr gya
dilo me barsat ki boondo ki chah jga gya
zindagi ko dil se jeena seekha gya
sab bhool aagey badh ek nyi shuruwat krne ko keh gya
ek nyi haseen subha ki shuruwat ki asha man me jga,
khud ye hwaa ka jhoka kahin aur asha ki kiran jagane chala gya

nari....

nari to nari hai, duniya me sbse pyari hai
sabka khayal vo rakhti hai
har dukh ko sehne ki usme aseem shakti hai
usne logo ko jholi bhar pyar diya
par logo ne ussey izzat ka adha katra bh na diya
kbhi vo maa kbhi behen to kbhi biwi hai
par duniya me aj bhi vo sbse akeli hai
iss shrishti ki vo palanhari hai
par ghar se akele nikalna aj bhi usspe bhari hai
par tu hi shakti, adshakti hai
tjhse hi sansar ki pragati hai
kbhi tu phool kbhi shola hai
tu zidd pe aaye to har kam ko phr hona hai

mana thoda waqt lagega
par iss duniya ko tjhe samjhna hoga
tera darza tjhe dena hoga
nari tu nari hai, duniya me sbse pyari hai

nazar.....

teri nazar se meri nazar kch yu takra gyi
ki mere dil me ek hulchul ye jga gyi
bht samjhna chaha maine iss hulchul ko
lkn har bar yr meri uljhane aur badha gyi
par samjh samjh k itna to me samjh gyi
ki tere pe me apne dil-o-jaan vaar gyi