Thursday, 29 March 2012

Yaddein........


aaj sach mein kuch likhne ka mann kar raha hai....
par na alfaz mil rahe hai na kahyaal unka aa raha hai..
main kaise karu usse lafzon mein bayaan ....
jo meri aankhon se aansu gira raha hai....

aankh se aansu chalakne ko th ki maine unhe sambhal liya....
in motiyo ko duniya ki nazro se chura kr dil me kahi chippa liya....
ye duniya badi bedard, kathore aur sanghdil hai....
nhi janti ye ki in aansuo ka mol kya hai....
iss duniya k liye ye aansu bas aankh se nikla hua pani hai....
lkn mere liye inme uski kch yaddein suhani hai.....

unhone sath hmara aisa choda ki....
aj na dil sath h, na aansu sath hai....
sath hai to bas unki chand yaddein....
aj unhi yaddon ko lafzon me utarna chahta hu
par hmari kismat to dekhiye janab...
aj lafzon ne yaddon ka sath dene se inkar kr diya
aj to hmare lafzon ne bhi hume dhoka de diya...

jee rahe th zindagi unke khayalo k saharey
par lagta h ab ye bhi unhe rass na aaya
unke khayal bhi ab unki trah humse russvaa ho gye
vo bhi hume beech raah me yu tanhaa sa chod gaye
zindagi jeeye to ab kiske saharey jeeye...
unhone to hmara sath na janey kab ka chod diya
aur aj unke khayalo ne bhi humse apna daman chuda liya

iss akelepan ko kam krne ki chah me
socha aj apne dil ka dard kagaz ke tukde pe utar du
socha auro ko bhi apne iss dard ka hissa bna lu
socha aj man ki suno aur iss dard ko byan karu
par alfaz nhi mil rhe h kch bhi likhne ko...
aur ye dard bhari dastan byan karne ko...
karey to kya karey zindagi k iss dorahey pe


No comments:

Post a Comment