Wednesday 1 February 2012

Zind@gi.....

zindagi ne zindagi ko zindagi se judaa kra
na jane kab maine khud ko khud se judaa kra
harti ja rhi hu zindagi ki har ladai har kadam pe
phr bhi umeed ka daman thame chali ja rhi hu,
na jane man me ye kaisi aass ka diya jalaye hue.
charo traf hai phela ye kaisa andhera
dikhta h sab dhundhla aur aadha-adhura
man me hai bas yhi ek sawal
kab hoga pura rat ka ye intkaal
kab ye andhere k badale chattenge
kab ye dur tak phela andhera hatega
kab chamkega suraj apni kirno k sath
layega charo traf ujalaa
aur kar jayega roshan ye pura jahan
kab hogi meri zindagi me khushiyo ki subha
zindagi ki iss rah me kab jeetungi me zindagi se
kab me khud ko khud me dhund paungi............

No comments:

Post a Comment