Thursday 17 November 2011

Mere S@PNO Ki DUNIY@...

na jane kyu dil me khayal aata h
udd jau hwaa me pankh lga k
dur iss duniya se kahi
kahi bhut durr sabse
jha koi na janta ho mujhe,
jha sirf aur sirf me hu
ek aise sapno k desh me...
jo hai meri palko ke taallee...
jiska pta sirf mujhe pta ho
jha koi mujhe na dhund paye
jha na ho koi logo ki kahi battein
na koi chinta kisi bat ki staye
na iss samaj k riwaj ho
na purane vicharo ka basera ho
na dil dukhane vale log aur unki bat ho

ek nayi subha k sath naye suraj ki kiran har jagha jagmagaye
aur roshan kar jaye vha ka ek-ek kann
nayi subha lekar aaye apne sath ek nayi aasha ki kiran
jo roshan kar jaye har kisi ka pavan man
na kisi k dil me jwalaa ho na nafrat ho
ho agr to sabke man me bas vo pyar aur vishwass ho
jisse roshan vo sara jhaa-sansar ho
har jagha khushiya hi khushiya ho
na kisi me koi bhed-bhav ho
jha sab apne ho na koi paraya ho
jha na koi bandish na purani soch ho
ek padha likha pragati karta hua sansar ho
jha sabke man me bas ek chah ho-
sabko sath lekar h hume aage jana,
nhi kisi ko h hume peeche chodna ya neecha dikhana
bas ek aisa jha hai bnana...
"jha hasta khelta hua ek sansar ek pariwarr k saman ho"